Jab
se Smartphone ki duniya me Jio aaya hai sabhi telecom companies ki kamar tut gyi hai.
Company apne ghate ko pura karne ke liye naye naye tarike le kar aa rhi hai. Ab
sabhi company ne apne lifetime Validity ko khatm kar rhi hai. Jaydatar company
ne apne sabhi costumers ki lifetime validity waale jo bhi SIM the, sunddely
company ne un sabhi SIM ki validity ko band karne ka announcement kar di hai.
Is
samay Vodafone, Idea, Airtel jaisi sabhi
companies ki taraf se apne customers ko ek massage beja ja rha hai, jisme kha
ja rha hai ki 26ih / 27th / 28th November 2018 ko aapke number ki
incoming / outgoing calls band kar di jayegi.
ये भी पढ़े -
Agar
aap, aapne SIM Card ki service ko continue rakhna chahate hai to aapko minimum
Rs. 35 ya isse adhik ka recharge per month karwana hoga.
Aapko
yaha per bta de, ki jo announcement in company ki taraf se ki gyi hai, Bo TRAI (Telecom Regularity Authority of India) ke
rules ke khilaf hai, Bharat me telecom company ko yahi sanstha regulate karti
hai. Is mamle par desh bhar se logo ne Consumer forum me sikaayat darj karayi
hai.
Market
ne jab se Jio aaya hai, telecom jagat me kafi changes aa rhe hai. Jio
ke aane ke baad logo ke recharge karna bahut kam kar diya tha. Jisse jo company
pahle telecom sector par raaj kar rhi thi, unki yakayak kamai band ho gyi aur
ye sabhi company ghate me jane lagi.
Jio ke sabhi plans jaydatar monthly charge par hai. Jisme
fix amount me free calling, 100 SMS, 1 GB daily high speed internet data diya
ja rha hai. Jiske karan Vodaphone, Idea, Airtel ki SIM ko
loge ne recharge karne band kar, Jis kisi ke permanent mobile member the un
numbers par incoming le rhe the. Is liye in companies ne ye naya tarika nikala
hai customer se recharge karvane ke liye.
Lakin
ab ye telecom operators lifetime validity ko band karte huye, apne consumers ko
monthly minimum Rs. 35 recharge karvane ke liye force kar rhi hai, varna aapke
mobile no. ko band kar diya jayega. Jo ki TRAI ke niyamo ke anusaar galat hai.
Aapki
kya Rai hai hame niche likh kar bataye...
ये भी पढ़े -
ConversionConversion EmoticonEmoticon