TubeBuddy Web extension For Youtubers

TubeBuddy Web extension  For Youtubers 

TubeBuddy Extension, TubeBuddy Install



TubeBuddy Kya Hai ?


Tubebuddy ek web extension  hai jise aap apne youtube channel ko manage kar sakte hai. Tubebuddy Chrome, Mozilla, Explore sabi me  chal jata hai. Tubebuddy web extension se aap apne youtube channel ka audience ratio increase kar sakte hai. Tubebuddy ko khas kr youtubers ke liye banaya gya hai. Tubebuddy Extension ko mobile se bhi operate kiya ja sakta hai. Iska Mobile app hai.
Kaise Download Kare ya Install kare ?

Tube Buddy ke liye aapko apne browser open karna hoga. Jisme aapko search karna padega web extension browser ke naam ke sath. Jaise main yha pr Chrome ke liye Search karta hu. 

► Open Chrome

Type Chrome Web Extension

certificate
Tube-buddy Certificate

         Search karne ke baad aapko jis extension ko install karna hai usko search kare. Jab aapka search extension mil jaiye to us par click kare. Click karne ke baad extension ko browser me add ke le. ya install kar le. Is tarah se aapke browser me extension install ho jaiyega.

           ►   Click and Open New Search Box
           ►   Type extension name in new search Box
           ►   Add  to Chrome Extension
           ►   Install Extension 


Tube buddy Extension Process 

Yahan pr mai aapko Tubebuddy ko install karna batauga. Kyuki youtubers ke liye tubebuddy ek important extension hai aur ye youtubers ke bhaut kaam ka extension hai.

Tubebuddy Extension Features 

Tag Copy / Suggest / Explore / Translator – Is tool ka sabse jabardast feature hai jiski madad se aap kisi dusre channel ke video ke tags aap jaan sakte hai. Tubebuddy se aap un sabhi tags ki nikal bhi sakte hai ya apne destop ke paste kar sakte hai. Isme tags translator ka bhi ek tool milta hai jis ki madad se aap check kar sakte hai ki aapke videos pr kyn kyn si country se view aa rhe hai us ke mutabik aap tags ko us desh ki langauge se change kar sakte hai. Iski madad se aap apne video ke top ranking tags bhi dekh sakte hai.
Thumbnail Generator – Is extantion se aap apne video ke liye best thumbnail bna sakte hai. ye is extension ka best feature hai. Ye extension aapke video me se kisi bhi part ka screen shoot type le kar ache se on video editing karke thumbnail bna sakte hai. Bhaut se naye Youtubers thumbnail banane ke liye software ya paint ka use karte hai jisse accretive thumbnail nahi ban pata hai.
Vid2Vid Promotion – Iski madad se aap kisi bhi video ka promotion free me kar dskte hai.
Description Edit Promotion – iski madad se app kisi bhi video ka link apne channel ke sabhi video ke ek sath update ka sakte hai, iske liye aapko apne har video me ja ka video ka link edit karne ki jarurat nahi hai. Isse aapka kaam smart aur kam samay me ho jata hai.
Video Publish Time – iska ye feature bhi ek bhaut acha hai. Isse aapke viewer kis time sabse jayda active rhte hai ye pta karne me aapko bhaut help  karta hai. Jb aapke viewer sabse jayda ative ho vah time best upload ya publish ka iski madad se pta kar sakte hai.
No Requir Other Any Software – TubeBuddy tool ka sabse bada fayda youtubers ke  liye hai ki aapko kisi aur software ki jarurat nahi padti hai isko install karne ke baad, isko aap install karne ke liye ek chota sa Extension apne browser me add karna hota hai. iska Extension  chorme  aur Firebox dono ke liye Available hai.

                   
                         To aap upper bataye gaye tips ko follow karke abi install kar sakte hai. isse related koi sawal hai to comment kare, hm uska reply jarur dege. Post achchi lage to, post ko whatsaap ya facebook pr share karna na bhule.   

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *